Chandra Parkash Shad

har ek imkan tak paspai hai apni

Chandra Parkash Shad

har ik imkān tak paspā.ī hai apnī
aur us ke ba.ad saf-ārā.ī hai apnī
sazā samjho mujhe us khokhle-pan kī
sadā har samt se lauT aa.ī hai apnī
jamā.at be-jamā.at ek sā huuñ maiñ
ki sad.hā shakl kī tanhā.ī hai apnī
ab un sairābiyoñ kā silsila kab tak
ḳhabar to muddatoñ tak paa.ī hai apnī
phir apne aap meñ girne lagā huuñ maiñ
vahī laġhzish vahī gahrā.ī hai apnī
safar be-lazzatī kī justujū kā hai
ba-har-manzar ziyāñ-paimā.ī hai apnī
Top Urdushayar.com