Chandra Parkash Shad

badan ko apni bisat tak to pasarna tha

Chandra Parkash Shad

badan ko apnī bisāt tak to pasārnā thā
har ek shai ko lahū ke raste guzārnā thā
jidhar fasīloñ ne us ko moḌā ye muḌ ga.ī hai
havā kī maujoñ meñ koī kauñdā utārnā thā
to kyā sabab saat pāniyoñ ko na pī sake ham
ḳhud apnā Duubā huā jazīra ubhārnā thā
maiñ apne andar simaT gayā ek lamha ban kar
kahīñ to apne janam kā manzar guzārnā thā
tum aa ga.e kyuuñ vajūd kī ye barāt le kar
hameñ to apnī ragoñ meñ shamshān utārnā thā
yahāñ se kaT kar vo jā ke jañgal meñ so ga.ī haiñ
usī bahāne havāoñ ko khel hārnā thā
na brij TuuTe na aañkh jhapkī na vaqt biitā
na jaane kyā kuchh bisarnā thā kyā bisārnā thā
Top Urdushayar.com