mere pyaar kā qissa to har bastī meñ mash.hūr hai chāñd
tū kis dhun meñ ġhaltāñ pechāñ kis nashshe meñ chuur hai chāñd
terī ḳhanda-peshānī meñ kab tak farq na aa.egā
tū sadiyoñ se ahl-e-zamīñ kī ḳhidmat par māmūr hai chāñd
ahl-e-nazar hañs hañs kar tujh ko māh-e-kāmil kahte haiñ!
tere dil kā daaġh tujhī par tanz hai aur bharpūr hai chāñd
tere ruḳh par zardī chhā.ī maiñ ab tak māyūs nahīñ
terī manzil paas aa pahuñchī merī manzil duur hai chāñd
koī nahīñ hamrāz-e-tamannā koī nahīñ dam-sāz-e-safar
rāh-e-vafā meñ tanhā tanhā chalne par majbūr hai chāñd
ishq hai aur kāñToñ kā bistar husn hai aur phūloñ kī sej
tujh ko kaise samjhā.ūñ ye duniyā kā dastūr hai chāñd
terī tābish se raushan haiñ gul bhī aur vīrāne bhī
kyā tū bhī is hañstī-gātī duniyā kā mazdūr hai chāñd