apnī majbūrī ko ham dīvār-o-dar kahne lage
qaid kā sāmāñ kiyā aur us ko ghar kahne lage
darj hai tārīḳh-e-vasl-o-hijr ik ik shāḳh par
baat jo ham tum na kah paa.e shajar kahne lage
ḳhauf-e-tanhā.ī dikhātā thā ajab shakleñ so ham
apne saa.e hī ko apnā ham-safar kahne lage
bastiyoñ ko bāñTne vaalā jo ḳhat khīñchā gayā
ḳhat kashīda log us ko rah-guzar kahne lage
avval avval dostoñ par naaz thā kyā kyā hameñ
āḳhir āḳhir dushmanoñ ko mo'tabar kahne lage
dekhte haiñ ghar ke rauzan se jo niilā āsmāñ
vo bhī apne aap ko ahl-e-nazar kahne lage