Shabnam Rumani

maine kis shauq se ek umr ghazal-KHwani ki

Shabnam Rumani

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1928-2009
maiñ ne kis shauq se ik umr ġhazal-ḳhvānī kī
kitnī gahrī haiñ lakīreñ merī peshānī kī
vaqt hai mere ta.āqub meñ chhupā le mujh ko
jū-e-kam-āb qasam tujh ko tire paanī kī
yuuñ guzartī hai rag o pai se tirī yaad kī lahar
jaise zanjīr chhanak uThtī hai zindānī kī
ajnabī se nazar aa.e tire chehre ke nuqūsh
jab tire husn pe maiñ ne nazar-e-sānī kī
mujh se kahtā hai koī aap pareshān na hoñ
mirī zulfoñ ko to aadat hai pareshānī kī
zindagī kyā hai tilismāt kī vaadī kā safar
phir bhī fursat nahīñ miltī mujhe hairānī kī
vo bhī the zikr bhī thā rañg-e-ġhazal kā 'shabnam'
phir to maiñ ne sar-e-mahfil vo gul-afshānī kī
Top Urdushayar.com