tamām umr kī āvārgī pe bhārī hai
vo ek shab jo tirī yaad meñ guzārī hai
sunā rahā huuñ baḌī sādgī se pyaar ke giit
magar yahāñ to ibādat bhī kārobārī hai
nigāh-e-shauq ne mujh ko ye raaz samjhāyā
hayā bhī dil kī nazākat pe zarb-e-kārī hai
mujhe ye zo.am ki maiñ husn kā musavvir huuñ
unheñ ye naaz ki tasvīr to hamārī hai
ye kis ne chheḌ diyā ruḳhsat-e-bahār kā giit
abhī to raqs-e-nasīm-e-bahār jaarī hai
ḳhafā na ho to dikhā deñ ham aa.ina tum ko
hameñ qubūl ki saarī ḳhatā hamārī hai
jahāñ-panāh-e-mohabbat janāb 'shabnam' haiñ
zabān-e-sher meñ farmān-e-shauq jaarī hai