har aan ek nayā imtihān sar par hai
zamīn zer-e-qadam āsmān sar par hai
duhā.ī detī haiñ kaisī harī-bharī fasleñ
kisī ġhanīm kī sūrat lagān sar par hai
maiñ ḳhāndān ke sar par huuñ bādaloñ kī misāl
so bijliyoñ kī tarah ḳhāndān sar par hai
qadam jamā.ūñ to dhañste haiñ reg-e-surḳh meñ pā.ūñ
jo sar uThā.ūñ to niilī chaTān sar par hai
maiñ jāntā huuñ Tlegā ye jaan hī le kar
rah-e-farār nahīñ mehmān sar par hai
ik aur vasl-e-suḳhan aur ik visāl-e-nigāh
mufārqat kī ghaḌī merī jaan! sar par hai