yahī sulūk munāsib hai ḳhush-gumānoñ se
paTak rahā huuñ maiñ sar āj-kal chaTānoñ se
havā ke rahm-o-karam par hai barg-e-āvāra
zamīn se koī rishta na āsmānoñ se
maiñ ik raqīb kī sūrat huuñ darmiyāñ meñ magar
zamīñ kī god harī hai inhī kisānoñ se
vo duur ufuq meñ uḌāneñ haiñ kuchh parindoñ kī
utar rahe haiñ na.e lafz āsmānoñ se
har ik zabān darīcha hai ḳhāna-e-jāñ kā
so mujh ko pyaar hai duniyā kī sab zabānoñ se