ab unheñ mujh se kuchh hijāb nahīñ
ab in āñkhoñ meñ koī ḳhvāb nahīñ
merī manzil hai raushnī lekin
merī qudrat meñ āftāb nahīñ
tujh ko tartīb de rahā huuñ maiñ
merī ġhazloñ kā intiḳhāb nahīñ
ab sunā hai ki mere dil kī tarah
ek sahrā hai māhtāb nahīñ
shaam itnī kabhī udaas na thī
kyuuñ tirī zulf meñ gulāb nahīñ
yuuñ na paḌhiye kahīñ kahīñ se hameñ
ham bhī insān haiñ kitāb nahīñ
kahkashāñ so rahī hai ai 'shabnam'
husn āñgan meñ mahv-e-ḳhvāb nahīñ