kījiye aur savālāt na zaatī mujh se
itnī shohrat bhī sambhālī nahīñ jaatī mujh se
naam ashyā ke batā.e magar ai hikmat-e-ġhaib
kaash tū merī haqīqat na chhupātī mujh se
dil-shikan ahd-shikan sabr-shikan qadr-shikan
pūchh le apne sab alqāb-e-sifātī mujh se
haar jaatā maiñ ḳhushī se ki vafā kā thā savāl
jiit jaatī vo agar shart lagātī mujh se