na tum mere na dil merā na jān-e-nā-tavāñ merī
tasavvur meñ bhī aa saktīñ nahīñ majbūriyāñ merī
na tum aa.e na chain aayā na maut aa.ī shab-e-va.ada
dil-e-muztar thā maiñ thā aur thiiñ be-tābiyāñ merī
abas nādāniyoñ par āp-apnī naaz karte haiñ
abhī dekhī kahāñ haiñ aap ne nādāniyāñ merī
ye manzil ye hasīñ manzil javānī naam hai jis kā
yahāñ se aur aage baḌhnā ye umr-e-ravāñ merī