mastoñ ke jo usuul haiñ un ko nibhā ke pī
ik buuñd bhī na kal ke liye tū bachā ke pī
kyuuñ kar rahā hai kaalī ghaTāoñ ke intizār
un kī siyāh-zulf pe nazreñ jamā ke pī
chorī ḳhudā se jab nahīñ bandoñ se kis liye
chhupne meñ kuchh mazā nahīñ sab ko dikhā ke pī
'fayyāz' tū nayā hai na pī baat maan le
kaḌvī bahut sharāb hai paanī milā ke pī