JaiKrishn Chaudhri Habeeb

mohabbat hi agar tujhko na ras aai to kya hoga

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1904
mohabbat hī agar tujh ko na raas aa.ī to kyā hogā
tire ġham meñ tabī.at merī ghabrā.ī to kyā hogā
tujhe paane kī ḳhātir kis qadar bechain rahtā huuñ
tujhe pā kar bhī gar taskīñ nahīñ paa.ī to kyā hogā
nahīñ piitā na pī zāhid magar ye to samajh letā
agar saaqī ne mai āñkhoñ se barsā.ī to kyā hogā
ham us ke dar pe jaane kī jo rusvā.ī hai sah leñge
talāsh us kī jo dar pe ġhair ke laa.ī to kyā hogā
kiye va.ade bhī tum ne aur dī mujh ko tasallī bhī
na tum aa.e shab-e-furqat na niiñd aa.ī to kyā hogā
ḳhizāñ ke daur meñ dekhī bahut gulshan kī barbādī
magar ab mausam-e-gul meñ ḳhizāñ aa.ī to kyā hogā
'habīb' is ghar ko ġhair aa.e jalāne ko to kyā ġham hai
sulagtī aag yāroñ ne jo bhaḌkā.ī to kyā hogā
Top Urdushayar.com