JaiKrishn Chaudhri Habeeb

har aane jaane wale ka munh dekhta raha

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1904
har aane jaane vaale kā muñh dekhtā rahā
maiñ rahguzar pe ziist kī tanhā khaḌā rahā
is zindagī ne zaḳhm diye bārhā magar
jaane har ek zaḳhm ko kyoñ chūmtā rahā
chhoḌā hai āñdhiy.oñ ne na baaqī nishān-e-rāh
phir bhī maiñ terā naqsh-e-qadam DhūñDhtā rahā
tanhā nahīñ rahā huuñ maiñ tere firāq meñ
dil par tere hī dard kā pahrā lagā rahā
din ko to silsile the ġham-e-rozgār ke
shab bhar tire ḳhayāl kā tāñtā lagā rahā
yād-e-'habīb' thī ki dhuñdhlakoñ meñ kho ga.ī
dil meñ sivā.e ḳhaak ke baaqī bhī kyā rahā
Top Urdushayar.com