dard minnat-kash-e-darmāñ ho zarūrī to nahīñ
zaḳhm marham kā hī ḳhvāhāñ ho zarūrī to nahīñ
dil kī gahrā.ī meñ dāġhoñ ke chaman khilte haiñ
merā har zaḳhm numāyāñ ho zarūrī to nahīñ
aag hai donoñ taraf garche barābar kī lagī
phir bhī mujh sā vo pareshāñ ho zarūrī to nahīñ
hijr meñ tere tasavvur ke maze kyā kahne
har koī diid kā ḳhvāhāñ ho zarūrī to nahīñ
muntazir maiñ tire aane kā rahūñgā har dam
jhūTā har ik tirā paimāñ ho zarūrī to nahīñ
dil se chāhūñ maiñ jise vo bhī to chāhe mujh ko
puurā aisā kabhī armāñ ho zarūrī to nahīñ
maut aatī hai kabhī mādar-e-mushfiq kī tarah
is se har shaḳhs gurezāñ ho zarūrī to nahīñ
ishq ne nāseh-e-mushfiq kī sunī hī kab thī
aql hī dil kī nigahbāñ ho zarūrī to nahīñ
khete kis vāste kashtī ko ho sāhil sāhil
na yahāñ ḳhatra-e-tūfāñ ho zarūrī to nahīñ
maiñ samajhtā to huuñ anjām-e-mohabbat ko 'habīb'
dil is anjām se larzāñ ho zarūrī to nahīñ