JaiKrishn Chaudhri Habeeb

zindagi KHwab-e-hasin ka nam hai

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1904
zindagī ḳhvāb-e-hasīñ kā naam hai
yā koī ḳhush-rañg ḳhālī jaam hai
zindagī kā kyā hasīñ anjām hai
dil meñ terī yaad lab par naam hai
hañs liyā thā lahje par ham ne kabhī
umr bhar ab āñso.oñ se kaam hai
mast hai jis ne bhī dekhā ek baar
chashm-e-mai-gūñ vo chhalaktā jaam hai
ye shikāyat aur ye āh-o-fuġhāñ
terā da.avā-e-mohabbat ḳhaam hai
jis ne paa.ī ek bhī terī jhalak
vo sadā ḳhāmosh hai gumnām hai
ruuh par ik kaif ban kar chhā ga.ī
yaad se mahkī huī jo shaam hai
pyaar kī terī nazar yā qahr kī
aur kyā ye gardish-e-ayyām hai
jā-ba-jā ham ḳhud bhaTakte hī phire
varna us ke dar pe faiz-e-ām hai
sub.h dekhī hai 'habīb' aur dopahar
aa.ī ab to zindagī kī shaam hai
Top Urdushayar.com