kabhī tavīl kabhī muḳhtasar bhī hotī hai
har ek raat kī lekin sahar bhī hotī hai
mujhe azal se milā ek to mizāj-e-junūñ
aur ik adā tirī dīvāna-gar bhī hotī hai
nigāh-e-yār ne kyā kyā khilā diye haiñ gul
vahī rulātī vahī chāra-gar bhī hotī hai
itāb-e-dost bhī kyoñ kar aziiz ho na mujhe
karam kī us meñ chhupī ik nazar bhī hotī hai
'habīb' aañkh se Tapkī huī ye ashk kī buuñd
jigar kā ḳhuun kabhī ye guhar bhī hotī hai