JaiKrishn Chaudhri Habeeb

jab se nazar se dur wo pyare chale gae

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1904
jab se nazar se duur vo pyāre chale ga.e
vo shaam vo sahar vo nazāre chale ga.e
rasm-e-vafā na pyaar kī pahlī sī riit hai
jaane kahāñ vo priit ke dhāre chale ga.e
ham khelte hī rah ga.e tūfān-o-mauj se
aa aa ke paas duur kināre chale ga.e
manzil kī dhun meñ raahī na dekhā na ik nazar
dilkash maqām karte ishāre chale ga.e
ātish-fishāñ sā siina bhī ab sard ho gayā
sho.ale chale ga.e vo sharāre chale ga.e
suunā hai husn aur fazā.eñ udaas haiñ
mahfil se jab vo ishq ke maare chale ga.e
saudā nahīñ ye ishq kī baazī hai be-ḳhabar
jiite vahī jahāñ meñ jo haare chale ga.e
dair-o-haram se duur tire āstāñ se duur
ham rahguzar meñ raat guzāre chale ga.e
mahfil baḌhāo sham.a ko bhī gul karo ki ab
vo dost vo 'habīb' vo pyāre chale ga.e
Top Urdushayar.com