JaiKrishn Chaudhri Habeeb

KHamosh nazron se husn-e-butan ki baat karen

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1904
ḳhamosh nazroñ se husn-e-butāñ kī baat kareñ
na lab pe aa.ī jo us dāstāñ kī baat kareñ
rah-e-junūñ meñ bhaTakte kahāñ kahāñ pahuñche
kahāñ kahāñ kī sunā.eñ kahāñ kī baat kareñ
jigar ke daaġh dikhāne se fā.eda kyā hai
abas hai mahz ke zor-e-zamāñ kī baat kareñ
na bhuul jaa.e zamāna vafā kī qadroñ ko
miTe jo ishq meñ un ke nishāñ kī baat kareñ
jabīn-e-shauq kā sajda yahāñ vahāñ kyoñ ho
jahāñ ho azmat-e-sar ham vahāñ kī baat kareñ
qadam qadam pe guzarte haiñ imtihāñ kitne
chalo ki aaj na.e imtihāñ kī baat kareñ
ye yād-e-lutf-e-bahārāñ bhī kam nahīñ hai 'habīb'
bharī ḳhizāñ meñ bhī kyā ham ḳhizāñ kī baat kareñ
Top Urdushayar.com