aaj un kā mizāj barham hai
yā muqaddar meñ ek nayā ḳham hai
chalte chalte maiñ thak gayā lekin
raat baaqī hai raushnī kam hai
koī tanhā.ī sī hai tanhā.ī
chār-sū ek hū kā aalam hai
saaqī chup-chāp mai-kadā suunā
saaz kī lai bhī aaj maddham hai
daaġh dil ke dikhā.ūñ maiñ kis ko
apnā apnā har ek kā ġham hai
dil ke ā.īne meñ jahāñ dekhā
goyā dil ek sāġhar-e-jam hai
cholī dāman kā saath hai un kā
zindagī hai jahāñ vahāñ ġham hai
āshiyāne kā ab ḳhudā-hāfiz
bāġhbāñ kā mizāj barham hai
kaun ḳhush-baḳht aaj yaad aayā
aañkh kyoñ ye tumhārī pur-nam hai
aate hoñge 'habīb' vo shāyad
dard pahle se aaj kuchh kam hai