JaiKrishn Chaudhri Habeeb

kaun si ja hai jahan husn ka shohra na hua

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1904
kaun sī jā hai jahāñ husn kā shohrā na huā
ishq bechāra kahāñ dahr meñ rusvā na huā
ishq dariyā hai koī jis kā kinārā na huā
nāḳhudā koī nahīñ koī safīna na huā
kaise ehsās ho mahrūmī-e-qismat kā use
lazzat-e-dard se jo dil se shanāsā na huā
haath uThā.e jo duā ko to tujhe hī māñgā
ye to allāh se saudā huā sajda na huā
kyoñ na anjām-e-tamannā se sañvar jaa.e dil
ishq kī raah meñ kab ḳhūn-e-tamannā na huā
ek vo haiñ jo terī yaad meñ ro lete haiñ
ham ko ashkoñ kā bhī is ġham meñ sahārā na huā
be-ruḳhī kā hai gilā kyoñ tujhe dilbar se 'habīb'
pyaar karne kā tujhe ḳhud hī salīqa na huā
Top Urdushayar.com