chashm-e-dil par kaif hai chhāyā huā
hai tasavvur meñ koī aayā huā
dil meñ hai har vaqt ik mahfil jamī
kyā huā gar maiñ kabhī tanhā huā
tere qābil to nahīñ hai ye magar
ek dil laayā huuñ maiñ TuuTā huā
zikr phir bichhḌe chaman kā chhiḌ gayā
mundamil thā zaḳhm-e-dil taaza huā
ai chaman se aane vaalo kuchh kaho
merā bhī ik āshiyāñ thā kyā huā
ab javānī kā kareñ kyā tazkira
ek afsāna sā hai bhūlā huā
kar rahā hai dil kā mātam kis liye
dil agar TuuTā tirā achchhā huā
umr guzrī aur ham dekhā kiye
zindagī kā kārvāñ luuTā huā
Thokareñ khā khā ke duniyā meñ 'habīb'
yaad aayā har sabaq bhūlā huā