JaiKrishn Chaudhri Habeeb

ulfat mein aisi laghzish-e-mastana chahiye

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1904
ulfat meñ aisī laġhzish-e-mastāna chāhiye
dar par tire gireñ to sambhalnā na chāhiye
hai ālam-e-shabāb kisī kā nigāh meñ
merī nazar ko aur tamāshā na chāhiye
saaqī kī ik nigāh pe mad.hosh bazm hai
gardish meñ ab to sāġhar-o-mīnā na chāhiye
chilman kī tīliyoñ se rukī kab nigāh-e-shauq
us par kabhī bhī bandish-e-bejā na chāhiye
sāqī-garī kī laaj rakho ye to ehtimām
koī bhī riñd bazm meñ pyāsā na chāhiye
farzāngī se tai huī kab manzil-e-hayāt
raḳht-e-safar meñ ik dil-e-dīvāna chāhiye
har har qadam pe soch ke chalnā ajiib hai
jiine ko kuchh to jur.at-e-rindāna chāhiye
kam hai 'habīb' umr ta.assuf ke vāste
duniyāñ ko baat baat pe jhuTlānā chāhiye
Top Urdushayar.com