JaiKrishn Chaudhri Habeeb

saz-e-ulfat hai mere saz-e-jigar hone tak

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1904
sāz-e-ulfat hai mire sāz-e-jigar hone tak
husn dilkash hai mire zauq-e-nazar hone tak
azm-e-insāñ ne sitāroñ pe kamandeñ Dālīñ
manzileñ duur haiñ sargarm-e-safar hone tak
bārhā nanhā sā dil ḳhuun huā zer-e-falak
ġhunche par guzrī hai kyā kyā gul-e-tar hone tak
rif.ateñ kaun sī hai chhū na sake jin ko ḳhayāl
had-e-parvāz hai taḳh.īl ke par hone tak
zindagī talḳh haqīqat hai ki ek ḳhvāb-e-hasīñ
kaun samjhā hai ise umr basar hone tak
kar ga.ī tujh ko pareshāñ mirī āshufta-sarī
ye yaqīñ thā na tirī aañkh ke tar hone tak
ham sar-e-shām jalāte haiñ tasavvur ke charāġh
kaun dekhegā tirī raah sahar hone tak
tere va.ade kabhī sharminda-e-īfā na hue
varna jiitā tire aane kī ḳhabar hone tak
va.ada be-kaif hai be-rañg hai gulzār 'habīb'
dil hai suunā sā tirī lutf-e-nazar hone tak
Top Urdushayar.com