kisī ḳhayāl kī shabnam se nam nahīñ hotā
ajiib dard hai baḌhtā hai kam nahīñ hotā
maiñ aa rahā huuñ abhī chuum kar badan us kā
sunā thā aag pe bosa raqam nahīñ hotā
tumhāre saath maiñ chal to rahā huuñ chalne ko
har ik hujūm meñ lekin maiñ zam nahīñ hotā
maiñ aise ḳhitta-e-zarḳhez kā makīñ huuñ jahāñ
sanam-tarāsh ko patthar baham nahīñ hotā
jinheñ ye zid ho ki choTī talak pahuñchnā hai
unheñ pahāḌ se girne kā ġham nahīñ hotā