apnī hastī ko andhe kuñ.eñ meñ girānā nahīñ chāhtā
maiñ haqīqat-pasandī ko suulī chaḌhānā nahīñ chāhtā
dar-ba-dar huuñ to sher-o-suḳhan ke liye yā shikam ke liye
varna maiñ ghar se bāhar galī tak bhī aanā nahīñ chāhtā
maiñ ne minnat nahīñ maan rakkhī daraḳhtoñ se girtā rahūñ
maiñ kisī shāḳh par koī tinkā sajānā nahīñ chāhtā
ho ga.ī hai tujhe is qadar mujh se nafrat to soyā na kar
maiñ to ḳhud tere jaisoñ ke ḳhvāboñ meñ aanā nahīñ chāhtā
merī koshish yahī hai ki zindoñ ko saaya farāham karūñ
maiñ kisī qabr par koī paudā lagānā nahīñ chāhtā
maiñ 'shanāvar' tirī qadr kartā huuñ dil se magar jaane kyuuñ
apnī aulād ko tere jaisā banānā nahīñ chāhtā