raunaq tire kūche kī baḌhāne chale aa.e
arbāb-e-junūñ hashr uThāne chale aa.e
ab aur numā.indagī-e-shab na karo tum
ham parcham-e-ḳhurshīd uḌāne chale aa.e
jab garmī-e-shabnam se badan jalne lagā hai
ham aag ke dariyā meñ nahāne chale aa.e
jo log mirā naqsh-e-qadam chuum rahe the
ab vo bhī mujhe raah dikhāne chale aa.e
jin se mujhe phūloñ kī thī ummīd vahī log
kāñTe mirī rāhoñ meñ bichhāne chale aa.e
ye gardish-e-hālāt kī hai zarra-navāzī
vo ḳhud hī mujhe aaj manāne chale aa.e
kyā ye bhī koī anjuman-e-māh-vashāñ hai
'rāhī' bhī ġhazal apnī sunāne chale aa.e