apne ghar meñ mirī tasvīr sajāne vaale
uñgliyāñ tujh pe uThā.eñge zamāne vaale
jā tujhe bhī kahīñ dīvār kā saaya na mile
ġham ke sahrā meñ mujhe chhoḌ ke jaane vaale
ham faqīroñ kī bhī thoḌī sī duā.eñ le jā
kaam ā.eñgī nazar pher ke jaane vaale
sho.ala-rū sho.ala-badan sho.ala-suḳhan sho.ala-mizāj
aa ga.e ghar meñ mire aag lagāne vaale
vo hamāre hī kisī dost kā ghar thā shāyad
chhup ke baiThe the jahāñ tiir chalāne vaale
apne andar bhī kabhī jhāñk ke dekhā hotā
aa.ina saare zamāne ko dikhāne vaale
ātish-e-rashk se jalte haiñ adū jal jaa.eñ
phuul 'rāhī' pe luTā.eñge luTāne vaale