Asghar Rahi

ek shaKHs apne hath ki tahrir de gaya

Asghar Rahi

ik shaḳhs apne haath kī tahrīr de gayā
jaise mirā navishta-e-taqdīr de gayā
ik dost mere qalb kī tālīf ke liye
kuchh zahr meñ bujhā.e hue tiir de gayā
barsoñ ke ba.ad us se mulāqāt jab huī
biite dinoñ kī chand tasāvīr de gayā
ghere hue thī mujh ko shab-e-ġham kī tīrgī
vo muskurā ke sub.h kī tanvīr de gayā
chupke se raat aa ke mire ghar ke sahn meñ
ik chāñd mere ḳhvāb kī ta.abīr de gayā
maiñ apne e'timād kā ehsānmand huuñ
mujh ko zamāne bhar meñ jo tauqīr de gayā
vo kaun thā kahāñ kā thā kyā us kā naam thā
'rāhī' jo tere sheroñ ko tāsīr de gayā
Top Urdushayar.com