Waqar Sahar

labon pe shikwa-e-ayyam bhi nahin hota

Waqar Sahar

Pakistan

1996
laboñ pe shikva-e-ayyām bhī nahīñ hotā
zabāñ pe ab to tirā naam bhī nahīñ hotā
kabhī kabhī use sochūñ to soch letā huuñ
kabhī-kabhār ye ik kaam bhī nahīñ hotā
ye mai-kada hai nahīñ mai-kasho ye dhokā hai
yahāñ to nashsha tah-e-jām bhī nahīñ hotā
nahīñ ye dard nahīñ ye zarūr hai kuchh aur
ki us meñ to mujhe ārām bhī nahīñ hotā
vo ajnabī sā ravayya vo dil-shikan andāz
jab un ke hoñToñ pe ilzām bhī nahīñ hotā
tire baġhair masāfat meñ pul-sirāt huā
vo rahguzār jo do gaam bhī nahīñ hotā
'sahar' tum us se mulāqāt kaise karte ho
vo shaḳhs ab to lab-e-bām bhī nahīñ hotā
Top Urdushayar.com