pesh vo har pal hai sāhab
phir bhī ojhal hai sāhab
ādhī-adhūrī duniyā meñ
kaun mukammal hai sāhab
aaj to pal pal marnā hai
jiinā to kal hai sāhab
achchhī-ḳhāsī vahshat hai
aur musalsal hai sāhab
duur talak taptā sahrā
aur ik chhāgal hai sāhab
puure chāñd kī aadhī raat
raqsāñ jañgal hai sāhab
jhiil kināre tanhā.ī
aur ik pāgal hai sāhab
apnā aap muqābil hai
jīvan dañggal hai sāhab
har ḳhvāhish kā qatl huā
dil kyā maqtal hai sāhab
dil kā bojh kiyā halkā
aañkh ab bojhal hai sāhab
ab vo khiḌkī band huī
dar bhī muqaffal hai sāhab