siina hai ek yaas kā sahrā liye hue
dil rañg-e-gulsitān-e-tamannā liye hue
hai aah dard-o-soz kī duniyā liye hue
tūfān-e-ashk-e-ḳhūn hai girya liye hue
ik kushta-e-firaq kī turbat pe nauhagar
dāġh-e-jigar meñ sham-e-tamannā liye hue
maiñ ik taraf huuñ shakl-e-ḳhizāñ pā.emāl-e-yās
ik samt vo bahār kā jalva liye hue
jaanā sambhal ke ai dil-e-betāb bazm meñ
hai chashm-e-nāz mahshar-e-ġham-zā liye hue
sozāñ na ye chaman ho mire nūr-e-āh se
o gulshan-e-jamāl kā jalva liye hue
majnūñ se to haqīqat-e-sahrā-e-najd pūchh
hai zarra zarra jalva-e-lailā liye hue
ishq-e-junūñ-navāz rahā bazm-e-nāz meñ
ik iztirāb-o-shauq kī duniyā liye hue
merī to har nigāh hai vaqf-e-ubūdiyat
vo har adā meñ husn-e-kalīsā liye hue
marham se be-niyāz hai 'pinhāñ' ye zaḳhm-e-dil
kyā kyā fusūñ hai chashm-e-dil-ārā liye hue