Shumama Ufuq

KHubiyon KHamiyon achchhi buri aadat samet

Shumama Ufuq

1992
ḳhūbiyoñ ḳhāmiyoñ achchhī burī ādāt samet
bol manzūr huuñ maiñ saare tazādāt samet
jhāñk sakte ho agar niiñd kī vaadī se pare
dekh sakte ho mujhe ḳhvāb-o-ḳhayālāt samet
būḌhe bargad ke jhuke shāne batāte haiñ mujhe
us ne Dhoyā hai kahānī ko rivāyāt samet
peḌ kā saaya nahīñ phal bhī zarūrat hai mirī
dil bhī darkār hai terā mujhe din raat samet
jitnī duniyāoñ ko tum DhūñD rahe ho bāhar
mere kamre meñ haiñ band arz-o-samāvāt samet
shahr vāloñ ko parakhnā koī mushkil to nahīñ
bātoñ bātoñ hī meñ khul jaate haiñ auqāt samet
us ke chhūte hī badan aise chamak uThtā hai
jaise jal uTThe koī shahr mazāfāt samet
Top Urdushayar.com