ye bujhe bujhe sitāre ye dhuāñ dhuāñ saverā
kahīñ aabrū ko Das le na ye bāvlā añdherā
tirī naag naag zulfeñ kahīñ raam ho na jaa.eñ
ki uThā hai biin le ke zar-o-māl kā saperā
mire shīshamoñ kī chhāñv meñ haiñ dhuup ke Thikāne
mirī naddiyoñ kī lahroñ meñ hai aag kā baserā
vahīñ maiñ ne ārzūoñ ke hasīñ diye jalā.e
ki jahāñ sharāb pī kar mujhe āñdhiyoñ ne gherā
ai nasīm-zād jhoñkoñ kī hasīñ hasīñ kulelo!
zarā jhang rañg Tīloñ kī taraf bhī ek pherā