us ko apnī zaat ḳhudā kī zaat lagī hai
mere dil ko pāgal kī ye baat lagī hai
kajjug hai aur phir dukhḌoñ kī barsāt lagī hai
nuuh kī kashtī mere ghar ke saath lagī hai
mere paas tahī-dastī hai darveshī hai
ye daulat kab shahzādoñ ke haat lagī hai
gorī-chaTTī dhuup na joban par itrā.e
din ke pīchhe kaalī kaalī raat lagī hai
ek hasīñ fir.aun ko bazm-e-sher-o-suḳhan meñ
merī ġhazloñ kī pustak taurāt lagī hai
maiñ insān ko maut kā dūlhā kah detā huuñ
mujh ko mātam kī Tolī bārāt lagī hai