jab arsh pe dam toḌne lagtī haiñ duā.eñ
detā hai rag-e-jāñ se mujhe koī sadā.eñ
phir sarmad-o-mansūr kā aatā hai zamāna
ab ahl-e-chaman gul kī jagah daar ugā.eñ
us tishna kī barsāt meñ kyā pyaas bujhegī
kashmīr ke barfāb jise aag lagā.eñ
yuuñ apnī duā sun ke chahak uTThe farishte
jis tarah suḳhan-fahm koī misra.a uThā.eñ
allāh-re vo sarshār gunahgār jo apnī
be-sāḳhta laġhzish pe ḳhudā ko bhī rijhā.eñ