jalva be-māya sā thā chashm-o-nazar se pahle
ziist ik hādsa thī qalb-o-jigar se pahle
husn ke soz-e-numā.ish kā hai in.ām-e-hayāt
vaqt bhī vaqt na thā shams-o-qamar se pahle
vahī utrī dil-e-betāb kī tashkīl ke ba.ad
ishq ta.amīr huā ilm-o-hunar se pahle
ain firdaus meñ jal uTThā thā aadam kā shabāb
aag barsī thī yahīñ dīda-e-tar se pahle
phir kahīñ dil ke sivā un ko amaañ hī na milī
but nikāle ga.e allāh ke ghar se pahle
zindagī mazra.a-e-taklīf-o-sukūñ hai 'afzal'
shaam ugtī hai yahāñ nūr-e-sahar se pahle