daar hai mard-e-anal-haq kā vatan
arsh hai mard-e-ḳhudā kī jāgīr
rok le abr-e-karam-gustar ko
khīñch kar barq-e-tapāñ kī zanjīr
aql kī panja-e-bai.at se nikal
terā murshid tirā maulā hai zamīr
us ke likkhe ko badal saktā hai ishq
jis kī taqdīr ho patthar pe lakīr
us kā ghar pūchhtī phirtī hai razā
sher-'afzal' hai anā mast faqīr