Sher Afzal Jafri

nutq palkon pe sharar ho to ghazal hoti hai

Sher Afzal Jafri

1909-1989
nutq palkoñ pe sharar ho to ġhazal hotī hai
āstīñ aag se tar ho to ġhazal hotī hai
hijr meñ jhuum ke vijdān pe aatā hai nikhār
raat suulī pe basar ho to ġhazal hotī hai
koī dariyā meñ agar kachche ghaḌe par taire
saath saath is ke bhañvar ho to ġhazal hotī hai
muddat-e-umr hai matlūb riyāzat ke liye
zindagī bār-e-digar ho to ġhazal hotī hai
lāzmī hai ki raheñ zer-e-nazar ġhaib o huzūr
donoñ aalam kī ḳhabar ho to ġhazal hotī hai
qaab qausain kī armān-e-payambar kī qasam
husn chilman ke udhar ho to ġhazal hotī hai
haath lagte haiñ falak hī se mazāmīñ 'afzal'
dil meñ jibrīl kā par ho to ġhazal hotī hai
Top Urdushayar.com