zindagī rain-basere ke sivā kuchh bhī nahīñ
ye nafas umr ke phere ke sivā kuchh bhī nahīñ
jise nādān kī bolī meñ sadī kahte haiñ
vo ghaḌī shaam savere ke sivā kuchh bhī nahīñ
dil kabhī shahr-e-sadā-rañg huā kartā thā
ab to ujḌe hue Dere ke sivā kuchh bhī nahīñ
haath meñ biin hai kānoñ kī lavoñ meñ baale
ye riyā-kār sapere ke sivā kuchh bhī nahīñ
saañs ke lahriye jhoñkoñ se phaTā jaatā hai
jism kāġhaz ke pharere ke sivā kuchh bhī nahīñ
aaj insān kā chehra to hai sūraj kī tarah
ruuh meñ ghor añdhere ke sivā kuchh bhī nahīñ
vaqt hī se hai sharaf dast-e-duā ko hāsil
bandagī sāñjh-savere ke sivā kuchh bhī nahīñ
faqr maḳhdūm hai laj-pāl hai lakh-dātā hai
taaj be-rahm luTere ke sivā kuchh bhī nahīñ