zamīñ kī god meñ rakkhe hue aflāk ke ḳhitte
sitāre chūmte haiñ sar-zamīn-e-pāk ke ḳhitte
koī tujh sā hasīñ duniyā-e-rañg-o-bū meñ kyā hogā
ai merī jaan ke TukḌe ai merī ḳhaak ke ḳhitte
tirī tābindagī se merī peshānī chamaktī hai
tire ḳhvāboñ se raushan haiñ mire idrāk ke ḳhitte
tire farsh-e-mohabbat par diloñ kā raqs jaarī hai
kahāñ tū aur kahāñ baaqī ḳhas-o-ḳhāshāk ke ḳhitte
ye merī fikr ke gauhar tirī miTTī kā tohfa haiñ
tire qurbān jā.ūñ ilm-o-istidrāk ke ḳhitte