Amanat Nadeem

har ek lafz hai zinda alamaton se teri

Amanat Nadeem

har ek lafz hai zinda alāmatoñ se tirī
mirī ġhazal kī ye qāmat nazākatoñ se tirī
tire baġhair to be-samt thī masāfat-e-umr
mirā safar huā āsāñ rafāqatoñ se tirī
ab is meñ terī mirī ḳhāmushī hī behtar hai
ki baat phail ga.ī hai vazāhatoñ se tirī
mire rafīq mire is qadar ḳhilāf na the
ye iḳhtilāf baḌhā hai himāyatoñ se tirī
tirī talab ke havāle se zindagī thī mirī
mirā javāz huā ḳhatm qurbatoñ se tirī
maiñ ḳhār-o-ḳhas kā gharauñdā tū sail-e-shauq 'nadīm'
maiñ TūT-phūT gayā huuñ mohabbatoñ se tirī
Top Urdushayar.com