Asar Rampuri

wo un ka hijab aur nazakat ke nazare

Asar Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1888-1963
vo un kā hijāb aur nazākat ke nazāre
aa.e vo shab-e-va.ada tasavvur ke sahāre
vo kaalī ghaTā aur vo baḌhte hue dhāre
zāhid bhī agar dekhe to saaqī ko pukāre
vo jalva-gāh-e-nāz vo maḳhmūr nigāheñ
ab kyā kahūñ ye lamhe kahāñ maiñ ne guzāre
ḳhud husn kā me.aar nirā zauq-e-nazar haiñ
utne hī hasīñ aap haiñ jitne mujhe pyāre
be-vaj.h nahīñ husn kī tanvīr meñ tābish
vo dete haiñ ḳhākistar-e-ulfat ke sharāre
tum chāho to do lafzoñ meñ tai hote haiñ jhagḌe
kuchh shikve haiñ bejā mire kuchh uzr tumhāre
phir jām-ba-kaf ho ga.ī har chiiz 'asar' aaj
yaad aa ga.e phir madh-bharī āñkhoñ ke ishāre
Top Urdushayar.com