Asar Rampuri

wo jo nahin hain bazm mein bazm ki shan bhi nahin

Asar Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1888-1963
vo jo nahīñ haiñ bazm meñ bazm kī shaan bhī nahīñ
phuul haiñ dilkashī nahīñ chāñd hai chāñdnī nahīñ
DhūñDā na ho jahāñ unheñ aisī jagah koī nahīñ
paa.ī kuchh un kī jab ḳhabar apnī ḳhabar milī nahīñ
aañkh meñ ho parakh to dekh husn se pur hai kul jahāñ
terī nazar kā hai qusūr jalvoñ kī kuchh kamī nahīñ
ishq meñ shikva kufr hai aur har iltijā harām
toḌ de kāsa-e-murād ishq gadāgarī nahīñ
josh-e-junūn-e-ishq ne kaam mirā banā diyā
ahl-e-ḳhirad kareñ muaaf hājat-e-āgahī nahīñ
uf ye nashīlī añkhḌiyāñ haa.e ye mastī-e-shabāb
maanā ki tum ne pī nahīñ kaun kahegā pī nahīñ
hijr kī shab guzar ga.ī phir bhī 'asar' ye haal hai
sāmne āftāb hai aur kahīñ raushnī nahīñ
Top Urdushayar.com