Jaleel 'Aali'

kis din ba-rang-e-zaKHm naya gul khila nahin

Jaleel 'Aali'

Amritsar, Punjab, India

1945
kis din ba-rañg-e-zaḳhm nayā gul khilā nahīñ
kis shab ba-faiz-e-ashk charāġhāñ huā nahīñ
ik sahm hai ki har kahīñ rahtā hai saath saath
ik vahm hai ki aaj bhī dil se gayā nahīñ
ai dost rāh-e-zīst meñ chal ehtiyāt se
girte hue ko koī yahāñ thāmtā nahīñ
go zehn se shabīh tirī mahv ho ga.ī
lekin tire ḳhayāl kā sūraj bujhā nahīñ
man kā tamām zauq-e-safar ghaT ke rah gayā
tan ke samundaroñ meñ kahīñ rāsta nahīñ
'ā.alī' varūd-e-sher meñ vaqfa bajā magar
ab ke to ek umr huī kuchh kahā nahīñ
Top Urdushayar.com