guzar gayā jo mire dil pe sāneha ban kar
utar gayā vo mirī ruuh meñ ḳhudā ban kar
tirā ḳhayāl shab-e-hijr phailtā hī gayā
hazār rañg kī sochoñ kā silsila ban kar
vafā ke sañg se Takrā ke ehtijāj-e-anā
salīb-e-lab pe sisakne lagā duā ban kar
badan ke dasht meñ man kī hasīn sub.hoñ ko
nikal rahā hai ġham-e-dahr azhdahā ban kar
kabhī to diip jaleñ gul khileñ fazā mahke
kabhī to aa shab-e-vīrāñ meñ ratjagā ban kar
tamām umr jise DhūñDte rahe 'ā.alī'
kahīñ milā bhī agar vo to fāsla ban kar