muḳhtalif ek hī sipāh kā dukh
ik payāde kā ek shaah kā dukh
manziloñ tak hamāre saath gayā
muḳhtasar ek shāhrāh kā dukh
dukh hameñ ik adhūre rishte kā
isī rishte se phir nibāh kā dukh
ya.anī yak-tarfa thā hamārā ishq
ham ne paalā thā ḳhvāh-maḳhvāh kā dukh
aap shahzādī lene aa.e haiñ
kaise samjheñge bādshāh kā dukh