Jaleel 'Aali'

apne hone se bhi inkar kiye jate hain

Jaleel 'Aali'

Amritsar, Punjab, India

1945
apne hone se bhī inkār kiye jaate haiñ
ham ki rasta tirā hamvār kiye jaate haiñ
roz ab shahr meñ sajte haiñ tijārat mele
log sehnoñ ko bhī bāzār kiye jaate haiñ
Dālte haiñ vo jo kashkol meñ sāñseñ gin kar
kal ke sapne bhī giraftār kiye jaate haiñ
kis ko mālūm yahāñ asal kahānī ham to
darmiyāñ kā koī kirdār kiye jaate haiñ
dil pe kuchh aur guzartī hai magar kyā kiije
lafz kuchh aur hī iz.hār kiye jaate haiñ
mere dushman ko zarūrat nahīñ kuchh karne kī
us se achchhā to mire yaar kiye jaate haiñ
Top Urdushayar.com