Jaleel 'Aali'

ghurur-e-koh ke hote niyaz-e-kah rakhte hain

Jaleel 'Aali'

Amritsar, Punjab, India

1945
ġhurūr-e-koh ke hote niyāz-e-kāh rakhte haiñ
tire ham-rāh rahne ko qadam kotāh rakhte haiñ
añdheroñ meñ bhī gum hotī nahīñ samt-e-safar apnī
nigāhoñ meñ firozāñ ik shabīh-e-māh rakhte haiñ
ye duniyā kyā hameñ apnī Dagar par le ke jā.egī
ham apne saath bhī marzī kī rasm-o-rāh rakhte haiñ
vo dīvār-e-anā kī oT kis kis aag jaltā hai
dil o diida ko sab ahvāl se āgāh rakhte haiñ
Dar-o-bast-e-jahān meñ dekhte haiñ saqm kuchh 'ālī'
aur apnī soch kā ik naqsha-e-islāh rakhte haiñ
Top Urdushayar.com