Jaleel 'Aali'

sabil-e-sajda-e-na-muKHtatam banate hue

Jaleel 'Aali'

Amritsar, Punjab, India

1945
sabīl-e-sajda-e-nā-muḳhtatam banāte hue
ḳhudā tak aa.e haiñ kyā kyā sanam banāte hue
ġhurūr-e-ishq meñ ik inkisār-e-faqr bhī hai
ḳhamīda-sar haiñ vafā ko alam banāte hue
tire ḳhayāl kī rau hai ki koī mauj-e-tarab
guzar rahī hai ajab zer-o-bam banāte hue
jabīn-e-vaqt pe sabt apnā naqsh us ne kiyā
diloñ ke daaġh charāġh-e-haram banāte hue
to kyā zarūr ki tahqīr ḳhalq karte phiro
ik apnā aks-e-anā muhtashim banāte hue
guzārte haiñ kahāñ zindagī guzartī hai
bas ek raah ba-sū-e-adam banāte hue
Top Urdushayar.com